DIR Return Create A Forum - Home
---------------------------------------------------------
Gossiphub.Tk
HTML https://desigossip.createaforum.com
---------------------------------------------------------
*****************************************************
DIR Return to: Hindi
*****************************************************
#Post#: 3--------------------------------------------------
Badshah (Ek Anokha Larka )
DIR By: Admin
Date: February 1, 2019, 7:07 am
---------------------------------------------------------
[color=red][center]Friends sab sy pehly btaa fon ya story sirf
aik fantasy ho reality sy kuch lena dena nhi hy koi bhi naam ya
jaga ka naam real nhi hy
Update 1
Mera naam kashif hy mery ghar mai meri maa mery walid aik bara
bhai or aik choti behn hy wesy to mery walid aik gaon mai rwhty
hain zameen jaidad boht hy or boht bara karobar (business) hy
per phr bhi ham gaon mai hi rehty hain mery walid ko gaon ka
mahol boht pasand hay wo yahin wo esi gaon mai paida hovy paly
barhy shadi bhi esi gaon mai ki
Esi waja sy unhon ny kabhi city mai rehny ka nhi socha
Ab aaty hain real story per
Main age 7 saal hy or pichly 1 saal sy main jail mai hon mera
mind boht tezz hy chezon ko jaldi hi smjh jata hon jaisy koi
mature insan ab sawal ya k mai jail mai Q hon to us ki waja hy
mera bhai aik saal phely main mera bhai or hmary kuch dost gaon
k aik ground mai cricket khail rahy thy kisi bat per mery bhai
ka aik larky say jhagra ho gaya or gusy mai bhai ny usy bat mar
dia jis sy us ki mout ho gai per bhai ny jab us ko mara to us k
foran bad wo bat mery hath mai pakra dia jab baki larkon ny
dakha to un ko laga k mainy usy mara hy bas esi waja sy mujhy 7
saal ki saza sunai gai or aj eai waja sy pichly aik saal say
main jail mai hon
Jab ghar walon ko es bat ka pata chala to wo boht gusa hovy meri
baat bhi nahi suni or mery walid ny keh dia k main un k lia mar
gaya hon bat hi esi thi per mujhy afsos hova k kam sy kam un ko
aik bar mujhy meri safai ka moka to dena chyiea tha or meri maa
ny bhi meri bat nhi suni us wakt meri choti behn maa k pait mai
thi main jail mai hi tha jab choti paida hovi
Khair start mai to mujhy masla hova phr mainy khud ko smbhal lia
es aik saal mai meery ghar say koi bhi mujhy milny nhi aaya
mainy bhi es life ko accept kr lia tha phr bhi ghar walon ki
boht yad aati thi per kuch kar nhi sakta tha per shukar hy k
yaha ka jailer acha insan tha jo yahan per aany walon bachon ko
study karwata un ko boht pyar sy rakhta tha main bhi wahin reh
ka study karny laga tha mai wahan kisi sy koi bat nhi karta tha
ya phr koi mujh say bat karna nhi chta tha Q k main wahan akala
tha jo khoon k elzam mai aya tha eai lia sabhi mujh sy shyad
darty thy or mujhy bhi fikr nhi thi kisi ki khair aisy hi chalta
rha or mazeed aik saal or guzar gaya na mujh sy koi milny aya na
kisi ny bat ki
Per 2 saal bad mery sath aik hadsa hova jis sy meri life badal
gai hova kuch esy k ham kuch larky safai kar rahy thy jaldbazi
mai aik larky ka paon phisal gaya or wo mujh per aa gira us k
mujh per achnak girny say main smbhal na saka or pichy ki taraf
gira jis sy mery sir k pichy boht chot lagi mery sir sy boht
khon behny laga or main behosh ho gaya
Wait 4 next
[/center]
#Post#: 4--------------------------------------------------
Re: Badshah (Ek Anokha Larka )
DIR By: Admin
Date: February 1, 2019, 7:10 am
---------------------------------------------------------
Update 2
Jab mujhy hosh aya to main hospital mai tha jab mainy aas pass
dekha to koi na tha thori dair bad aik nurse andr aai mujhy hosh
mai dakh k foran dr ko bulaya dr ny mera checkup kia to nurse sy
kuch bat kar k mujhy aik injection lagya or chla gaya
Thori dair bad jab main phr sy utha to jailer mery pass betha
tha
J.ab kesy ho beta
Main.thek hon mujhy kia hova tha
J.tum ko chot lagi thi or tum behosh ho gay thy
Main uthny laga to jism mai kamzori mehsos hovi
J.lety rahy tum abhi kamzor ho
Main.main kitny din sy behosh hon
J.6 month ho gay hain
Main.kiyaaa
J.han tum pichly 6 maheny sy behosh ho
Main.wapis kab tak ja sakta hon
J.kam sy kam 7 din
Aik bat pochon
Main.G
J.tumhry ghar say aj tak koi nhi aaya tum sy milny jab sy tum
hospital mai ho
Main.pata nhi main nhi janta main jab say jail mai hon tab sy
koi nhi aya
J.tum sy milny aj tak koi Q nhi aya
Main.pata nhi
Us k bad mainy us sy thori dair bat ki phr wo chla gaya 7 din
main hospital mai hi raha phr wapis jail mai aa gaya wapis aa k
mujhy boht sy new larky dikhy jin main say aik thora ajeeb laga
mujhy wo sab sy alag betha tha
Na wo kisi sy bat kar raha tha na hi koi us ki taraf dakh raha
tha baki sab koi na koi kisi na kisi k sath betha tha 2 din main
usy hi dakhta raha na kisi ny us per ghor kia na kisi ny bat ki
wo boht udaas dikh raha tha
2 din bad main us k pass ja k beth gaya
Main.kia naam hy tumhra
Meri es bat per wo mujhy aisy ghoor k dakhny laga jaisy main koi
bhoot hon phr wo usi trhan kamosh betha raha
Main.tum sy gi poch raha hon kia tum bol sakty ho
Meri es bat per wo phr mujhy ghoor k dakhny laga mujhy laga k
shyad wo bol nhi sakta esi lia us sy pocha kia tum bol sakty ho
Main.kia hova esy Q dakh rahy ho jaisy main koi bhoot hon
Larka.kia tum mujh sy bat kar rahy ho
Main.mera khyal hy mujh sy bat karny k lia yahan line lagi hy
nhi na to zahir hy tum sy hi bat kar raha hon
Larka.kia tum sach mai mujh say bat kar rahy ho
Main.ary bhai tery sath betha hon to tujh sy hi bat kron ga koi
jin to hy nhi jis mai main bat kron
Larka.agr main kahon k main bhoot hon to
Us ki es bat per main hasny laga or mery aas pass k larky mujhy
dakhny lagy jab mainy un sab ki tarf dakha to mujhy ajeeb nazron
sy dakh rahy thy
Main.kia hova aisy kia dakh rahy ho sab jao apna kaam kro
Larka.chalo mery sath kahin or ja k bat krty hain jahan koi na
ho
Main.han chalo wesy bhi ya sab mujhy ajeeb trhan sy dakh rahy
hain
Larka.han chalo
Us k bad ham un sab sy alag ja k beth gay
Main.ab btao tumhra naam kia hy
Larka.mera naam fahad hy
Main.acha naam hy yahan kis jurm mai ay ho
Fahad.chori or tum
Main.mayosi sy Qatal
Fahad.kiaa
Main.han ab agr tum caho to tum bhi ja sakty ho
Fahad.main Q jaon or kahan
Main.jis ko bhi pata chalta jy k mainy Qatal kia hy wo bhag jata
hy koi bat nhi karta
Fahad.fikr na kro main hon na
Esi trhan hmari dosti ho gai or 6 maheny guzr gay aik din mujhy
aik bat pata chali jisy sun k mujhy boht dar laga
Wait 4 next
#Post#: 5--------------------------------------------------
Re: Badshah (Ek Anokha Larka )
DIR By: Admin
Date: February 1, 2019, 7:13 am
---------------------------------------------------------
Update 3
Aik din fahad or main bat kar rahy thy k jailer aa gaya
J.kashif beta kis sy bat kar rahy ho
Main.ary uncle ya hy na fahad es sy bat kar raha hon
J.kon fahad beta yahan to koi bhi nhi hy
Main.ary yahin to betha hy mery sath
Mainy fahad ko dakha jo mujhy dakh k muskura raha tha
J.per yahan to koi bhi nhi hy tum kis fahad ki bat kar rahy ho
Main.ary ap ko nazar nhi aa raha yahin to betha hy 12 nmbr shirt
pehn kr
J.aik mint aik mint kia nmbr btaya
Main. 12 nmbr
J.mery sath ao aik mint
Main us k sath chal para wo apny ofc mai jaa k kuch files ko
dakhny laga thori dair tlash k bad us ny aik file nikal li or us
mai aik pic nikal k mujhy dikhai
J.kia yahi hy wo larka
Mainy dakha wo fahad ki hi pic thi
Main.g yahi to hy fahad
J.kia tum sach mai esi sy bat kar rahy thy
Main.ap aisy Q poch rahy ho jaisy ap esy janty hi nhi
J.kia tum sach mai esi k sath bethy thy
Main.g han or pichly 6 mehny sy ya mera dost hy
J.kiaaa ya kesy ho sakta hy
Main.kia nhi ho sakta
J.ya larka 1 saal pehly mar chuka hy
Main.kiaaaaaaaaa
J.han main sach keh raha hon ya aik saal pehly hi mar chuka hy
tum kisi sy bat nhi krty thy esi lia tum nhi janty per ya sach
hy
Main.ya kesy ho sakta hy uncle main to 6 maheny sy es sy bat kar
raha hon
J.yahi to mery smjh nhi aa raha k tum us sy kesy bat kar sakty
ho jab k wo 1 saal pehly hi mar gaya tha
Main.nhi ya nhi ho sakta
Fahad.wo sach bol rahy hain
Mainy darwazy k pass dakha to fahad wahin khra tha
Main.ab tu bhi bakwas krny laga
J.kis sy bat kar rahy ho
Main.fahad sy
J.kiaa kahan hy wo
Main yahin darwazy k pass khra hy
Jailer ya sun k dar gaya
Fahad.nhi ya bakwas nhi sach hy dikhaon
Main.han dikha
Mery dakhty hi dakhty fahad dewar k paar chla gaya or phr foran
hi wapis aa gaya ya sab dakh k mujhy boht dar laga or esi dar ki
waja sy main behosh ho gaya or mujhy boht tezz bukhar ho gaya
dar ki waja sy
Jab meri ankh khuli to main aik bar phr hospital mai tha or es
bar jailer mery pass betha tha
J.ab kesa lag raha hy
Main.ab main thek hon
J.tum ko hova kia tha
Main.kuch nhi bas fahad ka sach jan k main dar gaya tha or
behosh ho gaya
J.acha tum betho main dr sy mill k aata hon
Ya keh k wo chla gaya
Fahad.mujh sy Q darta hy
Main dosri taraf dakha to fahad betha tha usy dakh k main phr
dar gaya per es bar behosh nhi hova or darty hovy us sy pocha
Main.main tum ko kesy dakh pa raha hon
Fahad.pehli bat mujh say darny ki koi zrorat nhi hy or rahi bat
ya k tu mujhy kesy dakh sakta hy main nhi janta
Mujhy bas itna pata hy k ab sirf tu hi hy jo meri help kr sakta
hy
Main darty hovy.kesi help
Fahad.phly to tu darna band kar agr mainy tujhy koi nuqsan
pohncana hota to kab ka kr chuka hota
Main.tu mujh sy chata kia hy
Fahad.help
Main.kesi help
Fahad.wakt aany perbtaa don ga
Yad hy pehly din jab tuny mujh sy bat ki thi main tujhy dakh k
heran tha
Main.han yad hy
Fahad.main esi bat sy heran tha k main to mar chuka hon phr tu
kesy mujh sy bat kar raha hy
Main.to ab kia karon
Fahad.jo tera dil kry jab tak tu dil sy razi nhi ho jata tab tak
tu meri koi madad nhi kar sakta or mujh sy tujhy koi khtra nhi
hy baki teri marzi
Main.mujhy kia karna hoga tery lia
Fahad.bas ya smjh ly k meri akhri kwahis hy jo puri krni hy us k
bad main azad ho jaon ga meri roh jo ab tak es dunya main bhtak
rahi hy azadi mill jay gi
Us k bad jailer wahan aa gaya or us ny btya k aj sham tak chuti
mill jay gi
Us k bad main sham ko jailer k sath wapis chla gaya mujhy kuch
din lagy khud ko smbhalny main per phr sab thek ho gaya
Aik mahena aisy hi guzar gaya aik din main betha khud main hi
soch raha tha k main kia kron kafi sochta raha per kuch smjh nhi
aa raha tha rat ko soty wakt bhi yahi khyal aa raha tha k mujhy
kia karna chyiea
Es bich fahad mujhy nazar to aya per us ny mujh sy bat nhi ki us
ko dakh k hi lagta tha k wo boht mayos hy sochty sochty mainy
aik faisla kia
Main khud sy.uper waly ny mujhy agr ya sab dia hy to ea ka koi
maqsad to hoga hi mujhy fahad ki help krni ho gi wrna wo esy hi
rahy ga or jo bhi ho wo mera dost hy mujhy us ki madad krni hi
hogi main us ko aisy nhi chor sakta
Mainy khud sy faisla kia or subha fahad sy bat karny ka soch k
soo gaya
Wait 4 next
#Post#: 6--------------------------------------------------
Re: Badshah (Ek Anokha Larka )
DIR By: Admin
Date: February 1, 2019, 7:15 am
---------------------------------------------------------
Update 4
Agly din main sunbha jaldi uth gaya fresh ho k main bahir aa
gaya fahad bhi mujhy mill gaya main us k pass chla gaya
Main.han bhai ab btaa kia ho raha hy aj kal
Fahad.kia hona hy tu suna
Main.acha chor ab apni problem btaa
Fahad.ab to tujhy dar nhi lag raha mujh sy
Main.sach kahon to thora dar to lag raha hy per ab aadat bhi
banti jaa rahi hy es sab ki
Fahad.aik bat btaa tu mujhy dakh kesy raha hy matlab jahan tak
mujhy pata hy aam insan ham jaisy ko nhi dakh sakta
Main.pata nhi es ka to mujhy bhi nhi pata k ya sab kesy ho raha
hy or Q ho raha hy
Fahad.wesy teri umer k hisab sy tu kuch zaida bara nhi hy
Main.kia matlab
Fahad.matlab tu aam bachon ki trhan nhi hy chezon ko jaldi smjh
jata hy
Main.han ya to hy mera mind tezz hy bachpan ssy yahi sunya aaya
hon shyad esi lia
Fahad.han ya bhi hy shyad esi waja sy ho ya koi or waja
Main.wo sab chor ya btaa terakia masla hy main kesy teri help
kar sakta hon
Fahad.us k lia tujhy yahan say niklna ho ga us k bad hi tu meri
help kar sakta hy
Main.wo to theek hy per ya to btaa k karna kia hy
Fahad.mujh per chori ka elzam laga tha
Main.han to
Fahad.abe puri bat to sun
Main.han btaa
Fahad.jaisy k mainy btaya k main chori k jurm mai yahan aaya tha
per wo chori mainy nhi ki thi
Main.phr kis ny ki or tum yahan kesy aa gay
Fahad.chori kis ny ki ya to pata nhi or na mujhy pata karna hy
mujhy bas aoni maa ko ya btana hy k main begunah hon mainy koi
chori nhi ki
Main.or tu asli chor ko mhi pakry ga
Fahad.yar chor es bat ko mujhy us sy koi fark nhi parta k chori
kis ny ki or Q ki jab meri maa ko pata chla to wo toot gai or
unhon ny bhi mujhy hi chor smjha main bas un ko yahi btana chta
hon k main begunah hon
Main.chal thek hy jaisy teri marzi main teri help kron ga per
zahir hy yahan sy niklny k bad hi ya sab ho sakta hy
Fahad.mujhy pata hy esi lia to mainy kaha hy yahan sy nikal k hi
tu meri help kr sakta hy
Us k bad mainy us sy boht dair bat ki phr apny kam main busy ho
gaya jaisy study or saaf sfai or bhi choty moty kaam
Esi trhan mera waqt guzrta raha fahad sy bat hoti rehti mainy or
bhi 2 sy 3 logon ko dakha or fahad ny bhi mujhy btaya k wo bhi
mar chuky hain per mainy us sy bat nhi ki wakt apni raftar sy
guzar gaya or meri saza ka time bhi khtam ho gaya
Apni saza puri kar k jab main bahir nikla to boht kush tha k aj
itny salon bad main apny ghar jaon ga apni maa apny walid or
bhai sy milon ga or sath hi mera jo chota bhai ya behn ho gi us
sy khoob khailon ga jab main bahir aya to us wakt tak mujhy leny
koi nhi aya tha per main phr bhi kush tha ghar jany k lia k
fahad aa gaya
Fahad.aj boht kush hy
Main.han boht kush hon
Fahad.chal thek hy main bhi ab tery sath rahon ga
Main.tu mery sath kesy rahy ga
Fahad.lagta hy kushi main tu pagal ho gaya hy mujhy tery elawa
dakh kon sakta hy
Main.han yar sach mai aj boht kush hon esi lia bhol gaya
Ham bat kar hi rahy thy k mujhy leny mery chacha ay
Main.chacha ghar sy koi nhi aya
Chacha.nhi main aa gaya ya bhi shukar kar wrna tuny jo kia hy
ham mai sy koi teri shkal bhi dakhna nhi chata
Chacha ki bat sun k mujhy boht dukh hova jitna main kush tha ab
utna hi dukh ho raha tha k mery ghar waly mujhy dakhna bhi nhi
chaty
Main chacha k sath gari mai beth gaya or fahad bhi beth gaya us
ko koi dakh to nhi sakta tha per wo mujhy phr bhi tasali deny ki
koshish kr raha tha
Fahad.prashan na ho dakhna jab tu ghar jay ga tery ghar waly
tujhy dakh k boht kush hon gy
Main chup kar k betha raha takrebn 2 ghanty bad ham ghar aa gay
main jab ghar k andr gaya to dil ko sak9n sa mila aj itny salon
bad apny ghar wapis aaya tha jab andr gaya to meri maa kuch
orton k sath bethi thi es sy pehly k main un ko milta
Aik orat.behn ya kon hy phly kabhi nhi dakha esy
Maa.ya ya han ya hmara new nokar hy aj hi aya hy esi lia
#Post#: 9--------------------------------------------------
Re: Badshah (Ek Anokha Larka )
DIR By: Admin
Date: February 3, 2019, 11:41 pm
---------------------------------------------------------
Update 5
Orat 2.nokar hy
Maa.g han aj hi aya hy
Orat 1.jo bhi ho boht pyara bacha hy
Maa.choro behn nokron ko kia mouh lagna (mujhy) larky yahan kia
kar rahy ho jao ja k apna kaam kro
Main g kehta hova ankh mai anso lua wahan sy bahir aa gaya or
rony laga
Fahad.khud ko mazbot kar kashif tu esy kamzor nhi ho sakta
Main.kia kron yar aj sab kuch khtam ho gaya bacha hi kia hy meri
apni maa ny mujhy praya kar dia
Fahad.aik bat kahon
Main.han bol
Fahad.main nhi janta k unhon ny ya sab Q kia kua waja thi per tu
kesy keh sakta hy k sab khtam ho gaya abhi tu apny walid sy nhi
mila apny bhai sy nhi mila or apni choti behn sy bhi nhi mila un
sy milny sy pehly tu kesy keh sakta hy k sab khtam ho gaya
Main.yar tujhy kia lagta hy unhon ny esa Q kaha jab chacha ny
mujhy kaha k un mai sy koi mujhy dakhna bhi nhi chta mujhy usi
wakt smjh jana chyiea tha
Fahad.phr bhi abhi koi bhi faisla na kar
Main.chal tu kehta hy to ya bhi kr k dakh leta hon per mujhy
itna to pata chal hi gaya hy k ab yahan mery lia kuch bhi nhi
bacha phr bhi dakhty hain
main fahad sy bat kr k fresh hova or itny mai wo ortyn bhi chali
gai un k jany k kuch dair bad hi mery walid bhai or choti behn
bhi aa gai or wo sidhy andr chlay gay main bhi un k pichy chala
gaya
Papa mujhy sakh k.ya manhos yahan kia kar raha hy
Behn.papa ya kon hy
Papa k bolny sy phly hi maa boli
Maa.beta ghar k kamon k lia naya nokar raha hy wohi hy
Papa.ja pani ly k aa
Main.g malik abhi laya
Main wahan sy kitchen mai aa gaya 4 glass mai pani daal dalny
laga
Kaka(nokar).ary choty baba ap kab ay mujhy keh dety main pani dy
deta
Main.kaka main ab ap ka chota baba nhi hon main bhi es ghar ka
nokar hi hon to ap k braber hon
Kaka.ya kia keh rahy ho beta
Main.ya sach hy ap k malik or malkin ny sab k samny hi kaha hy
to mujhy izat dena band kejiya
Mainy pani bhar k aik tray mai 4ron glass rakh k andr chla gaya
or un ko pani dia esy hi kaam krty karty rat ho gai
Ab masla ya tha k mainy sona kahan hy or na mujhy pata tha bhok
bhi lagi thi khana bhi nhi khaya tha khair rat ko main aik
chader or aik kambel ly k kitchen mai aa gaya or sony ki tyari
karny laga itny mai fahad aa gaya
Main.mainy ghlat to nhi kaha tha
Fahad.han yar ab mery pass tery jitna dimagh to hy nhi k main
smjh pata
Main.chal chor mujhy ab fark bhi nhi parta tu btaa kahan tha ab
tak
Fahad.yar bas esy hi ghom raha tha
Us sy bat krty krty main soo gaya subha maa jaldi uth k kitchen
mai aai or mujhy sota dakh k mujhy uthya
Maa oy larky uth chal jaldi uth
Main uthta hova.maa ap Q mery sath esy kar rahi ho
Maa thaper mar k.kal kia bola tha main teri maa nhi hon nokar hy
nokar hy reh or tuny jo kia hy us k bad tu meri nafrat k kabil
bhi nhi hy pata nhi subha subha kahan sy es ki manhos shakl
nazar aa gai aj sara din hi khrab jay ga
Un ki bat sun k meri ankhon mai ansoo aa gay per mainy jaldi hi
khud per kabo paa lia or fresh ho k nashta bnany ki tyari krny
mai masrof ho gaya itny mai kaka bhi aa gay
Kaka.beta praahan na ho mainy dakha abhi jo hova
Main.koi bat nhi kaka ab to yahi meri zindgi hy kia kar sakta
hon
Ya bol k main muskura dia mujhy muskurata dakh
Kaka.aj tak mainy tum jaisa nhi dakha
Main.kia matlab kaka
Kaka.itna sab hony k bad bhi tum muskura rahy ho
Main.kaka sidhi si bat hy mery dukhi hony sy ya prashan hony sy
na to kuch thek ho ga na hi kuch badly ga to khud ko prashan
krny or dukhi hony ka faida
Kaka.han ya bhi hy chalo acha laga k tum smjhdar ho rahy ho
Main.kaka halat sab sikha dety hain
Sab k nashta karny k bad sab apny apny kamon mai musrof ho gay
papa ofc bhai schol or choti bhi schol chali gai us k bad mainy
or kaka ny bhi nashta kia itny mai fahad aa gaya
Main.yar tu kahan gum rehta hy
Fahad.mainy kaha jana hy
Main.acha chor ya bta k ab kia karna hy
Fahad.kis bary mai
Main.aby teri jo help karni hy
#Post#: 10--------------------------------------------------
Re: Badshah (Ek Anokha Larka )
DIR By: Admin
Date: February 3, 2019, 11:42 pm
---------------------------------------------------------
Update 6
Fahad.wo bhi ho jay gi pehly yahan k halat thek nhi hain koi bat
nhi
Main.yar yahan k halaat to ab badlny sy rahy tu ya btaa k tera
ghar kis city main hy
Fahad.mera ghar to ***** city main hy per ab jo halaat hain tu
esy to jaa nhi sakta
Main.han ya bhi hy chal bad mai dakhty hain kia krna hy yar
mainy aik faisla kia hy
Fahad.kia faisla
Main.yar ab ya log jab mujhy itni nafrat krty hain or jo mujhy
smjhty hain main bhi wohi kron ga
Fahad.kia matlab
Majn.dakh sidhi si bat hy meri maa bap bhai ya 3no jis trhan sy
mery sath kr rahy hain us ka jawab bhi usi trhan don ga han
choti ka koi kasor nhi hy Q k wo mujhy janti hi nhi hy or aik
bat
Fahad.yahin gaon main aik hotal khula hy main wahan job kron ga
en k tukron per nhi ge sakta
Fahad.yar emotional na ho ya tera ghar hy
Main.aby kon sa ghar jab ghar waly hi mujhy apna nhi manty to
kon sa ghar mera bhai jis k jurm ki mainy saza kati kam sy kam
wo to mujh sy thek sy paish aa sakta tha per jab sy aya hon us
ny bat tak nhi ki mujh sy
Fahad.teri jo marzi main kia keh sakta hon
Us k bad mainy fahad sy kuch dair bat ki or wo kahin gum ho gaya
matlab chla gaya dopehr ko bhai or choti schol sy wapis aa gay
Bhai.oy larky mery kamry mai pani ly k aa jaldi
Main aik glass mai pani dal k un k room mai chla gaya un ko pani
dia phr wapis aa gaya esi trhan wakt gurzrta raha or 6 month
nikal gay main gaon k hotal mai job krna chta tha per nhi kar
paya aik din mai kitchen mai tha k choti wahan ai mujhy thora
bukhar tha or sab ko pata tha
Main.g choti bi bi
Choti.bhai pani pina tha
Main.mujhy keh dia hota choti bibi main dy deta
Choti.bhai ap mujhy choti bibi Q kehty ho
Main.Q k ap meri malkin ho main yahan kaam karta hon or mujhy aj
tak ap ka naam bhi nhi pata esi lia or ap mujhy bhai na kaha
karo
Choti.mera naam fatima hy or ap ko bhai Q na kahon
Main.agr kisi ny sun lia k ap mujhy bhai kehti ho to ap ka to
pata nhi meri shmat aa jay gi
Fatima.Q
Main.ap nhi smjho gi
Us k bad mainy usy pani dia wo pani pi k chali gai itny mai bhai
kaborder aaya juice k lia main juice ly k un k room mai gaya
Main.choty malik ap ka juice
Bhai.choty tabyat kesi hy
Main.thek hon choty malik ap meri fikr na kron
Bhai.choty esa Q keh raha hy bhai hy tu mera
Main.hahahahaha bhai ap mazak acha krty ho choty malik
Bhai.kia matlab
Main.choty malik ghar ka nokar hon itni izat k kabil nhi hon or
ap ka bhai to bilkul nhi
Bhai.esa Q kehta hy
Main.Q k esa hi hy esi lia kehta hon
Bhai.tery kuch bhi kehny sy sach nhi badly ga
Main.sahi kaha ap ny choty malik sach
Han sach ya bhi hy k mainy saza kati us jurm ki jo mainy kabhi
kia hi nhi tha phr bhi jab wapis aya to laga k apny ghar mai
aaya hon per yahan aa k pata chla k main to aik nokar hon ya bhi
to sach hi hy k wapis any k bad sy aj tak na kisi ny pyar sy bat
ki na kbhi apna mana
Bhai.main aj hi maa papa ko btaa don ga k kia hova tha
Main.hahahahahaha us sy kia ho ga jo mainy saza kati hy bina
jurm wo wakt wapis ay ga ya jo wapis aany k bad sy ab tak jo
nafrat mili hy kia wo badal jay ga or sab sy zrori bat agr ap ny
btana hi hota to jab ya sab hova ap usi wakt btaa dety
Chalo manta hon ap dar gay thy zror ap ko dar laga ho ga mery
jail jany k bad btaa sakty thy chalo phr bhi nhi btaya koi bat
nhi jab ap ki maa meri malkin ny ap sab k samny mujhy nokar kaha
tab btaa sakty thy per esa to kuch nhi hova
Bhai.mujhy maaf kr dy choty
Main.na choty malik ap mafi na mango acha nhi lgta k aik malik
nokar sy mafi mangy
Mujhy laga tha shyad sab ki nafrat wakt k sath khtam ho jay gi
per khair choro or koi kaam ho to bula lena choty malik ap ka ya
nokar hazir ho jay ga
Mery bahir niklty hi mujhy boht bara jhatka laga jo mainy socha
bhi nhi tha usy dakh k pata chal raha tha k us ny andr ki sari
bat sun li hy jis waja sy us ki ankh main ansoo thy mainy khud
ko smbhala or bina kisi ki parwa kiya waha sy chala gaya
#Post#: 11--------------------------------------------------
Re: Badshah (Ek Anokha Larka )
DIR By: Admin
Date: February 3, 2019, 11:44 pm
---------------------------------------------------------
[font size="6"]Update 7
Jab main bahir nikla to bahir meri chachi thi jinhon ny sab sun
lia tha or un ki ankhon mai anso thy main un ki parwa kia bina
wahan sy chala gya mery pichy pichy wo bhi kitchen mai aa gai
Main.g malikn hukam
Chachi.beta mujhy maaf kr do
(Itny arsy mai chacha chachi or un ki family ny bhi mujhy nafrat
hi di thi)
Main.malkin main ap ka beta nhi hon bas mamoli nokar hon or wohi
rehna chata hon to mehrbani ho gi ap ki mujhy meri okat mai
rehny dayn
Chachi.esy to na kaho
Main.jo sach hy wohi to keh raha hon kuch ghlat to nhi kaha
mainy
Chachi.kia tum mujhy maaf nhi kar sakty
Main.kis bat ki mafi malkin
Itny mai maa aa gai
Maa.kia hova choti or tu es 2 taky k nokar sy mafi Q mang rahi
hy
Chachi.baji ap ka beta hy wo
Maa.nhi mera aik hi beta hy or aik beti hy bas
Chachi.baji jab ap ko sach pata chala ga ap ko sun k afsos ho ga
Maa.mujhy koi afsos nhi ho ga or kon sa sach
Chachi.pura to mujhy bhi pata nhi per itna zror pata hy k jo bhi
hova thek nhi hova or na hi es mai kashif ki koi ghalti thi
Maa.es ki koi galti nhi thi es ny katal kia hmari izat 2 kori ki
nhi rahi sirf es manhos ki waja sy sary gaon mai aik bap ka sir
jhuk gaya sirf es ki waja sy wo insan jo kabhi kisi k samny nhi
jhukta tha sary gaon main shirminda hova Q es ki waja sy or tu
kehti hy k es mai es ki koi galti nhi hy
Chachi.han main yahi keh rahi hon
Maa.bas mujhy or kuch nhi sunna
Un k jany k bad
Main.koi faida nhi kisi ko kuch btany ka na to in ki nafrat
khtam ho gi or na mujhy ab kisi k pyar ki zrorat hy nafrton ka
aadi hon kush hon
Chachi.aik din jab sab ko pata chaly ga tab sabhi tum sy pyar
kryn gay
Main.per mujhy ab kisi k pyar ki zrorat nhi hy
Us k bad main wahin beth k rony laga or khud sy hi nat krny laga
Main khud sy.Q akhir Q aik bar bhi en logon ny sach pata krny ki
koshish nhi ki na mujh sy kabhi kuch pocha aik bar poch to lety
per nhi apni ana hi pyari thi na kia krty khair main Q ro raha
hon en logon ki waja sy ab mujhy bas yahan sy niklna hy
Us k bad aik month mazed guzar gaya mainy fahad sy mill k final
kar lia k ab yahan nhi rehna aik month bad mainy apni salary li
jo main wahan kaam krny ki leta tha wo ly k bina kisi ko btay
chala gaya or fahad ki city mai gaya wahan pounch kar
Main.han bhai ab btaa yahan to aa gay ab agy kia karna hy
Fahad.kia tuny wahan sy aa k thek kia
Main.dakh yar sidhi bat hy wahan ab mera dum ghutta tha or teri
bhi help krni thi zahir hy wahan reh k to kuch ho nhi sakta tha
wahan sy niklna hi tha
Fahad.han ya bhi thek hy
Main.acha ab btaa ab kia karna hy
Fahad.abhi sidha to tu mery ghar jaa nhi sakta to pehly apna
bandobast to kar socha hy kahan rahy ga
Main.han yar chal kahin sy kaam ka pata karty hain abhi to din
shru hova hy
Us k bad main sara din kaam ka pata karta raha per kuch nhi ho
saka ab rat bhi ho rahi thi or sony ka bhi kuch karna tha to
soch raha tha k kia kron kuch smjh na aya paisy to thy per zaida
na thy esi lia aik park mai ja k soo gaya
Agli subha nashta kar k phr say kaam ki tlash main nikal gaya
sham ko ja k aik pizza shop mai waiter ki job mili jo mainy
accept kr li or kal sy join bhi karna tha job ka time sham 4 sy
rat 1 ka tha
Main.yar fahad kaam ka to ho gaya ab rehny ka bhi kuch karna ho
ga
Fahad.han yar meri to khair hy per kab tak parkon mai soy ga
Main.han yar chal kuch pata karty hain kahin sy
Us k bad main or fahad sham tak ghar ka pata karty rahy per kuch
nhi ho saka us rat bhi main park main hi so gaya subha uth k
nashta kar k phr ghar ki tlash mai nikal gaya per kuch nhi ho
saka esi trhan sham k 4 bajy gay or main ready ho k job per
nikal gaya aj pehla din tha to sab kuch smjhya gaya k kia krna
hy kesy karna hy sab kuch
Wait 4 next[/font]
#Post#: 12--------------------------------------------------
Re: Badshah (Ek Anokha Larka )
DIR By: Admin
Date: February 3, 2019, 11:45 pm
---------------------------------------------------------
Update 8
Rat ko 1 bjy free ho k phr kisi park main ja k soo gayaw subha
ohr wohi ghar ki talash esi trhan 6 din nikal gay per kuch nhi
ho saka aik din esy hi talash kar raha tha k aik school ki chuti
hovi us wakt mery sath shop per kaam krny wala aik larka bhi
sath tha ham mill k pata kar rahy thy k ham ko aik awaz ai
Awaz.suno bhai
Mainy pichy mur k dakha to aik lady thi jis ny burqa pehn rakha
tha
Main.g baji
Lady.bhai thori help kro gy
Main.g baji hukam kro
Lady.bhai meri bachi ki tabyat khrab hy kia ap mujhy mery ghar
tak chor do gy
Maun.g baji zaror Q nhi kahan hy ap ki bachi
Phr wo mujhy schol k andr lay gai jahan aik bachi bench per leti
hovi thi mainy usy utha lia usy uthaty hi saaf pata chal raha
tha k bachi ko boht tezz bukhar hy mainy usy utha lia or us lady
k pichy chalny laga takreban 10 mint chalny k bad wo aik darwazy
k samny ruki
Darwazy ko tala laga hova tha us ny apny purse sy chabi nikal k
darwaza khola or andar chali gai main wahin khara raha per us ny
mujhy andr bula lia or mery sath jo larka tha us ko mainy wahin
rukny ka bola or andr chala gaya
Lady.bhai ap esy us room main sula do (us ny aik room ki taraf
eshra kia)
Mujhy thora ajeb laga k main un k lia ajnabi tha or wo mery sath
aisy bat kar rahi thi jaisy mujhy salon sy janti ho khair mainy
usy room mai sula dia or bahir aa gaya
Main.acha baji ab main chalta hon
Lady.ary esy kesy ap bethak ka darwaza khol k betho or apny dost
ko bhi andar bula lo main chay banati hon chay pi k jana
Main.nhi baji mujhy kahin kaam jana hy
Lady.acha koi bat nhi chay pi k chlay jana
Mainy boht koshish ki per wo na mani phr mainy bethak ka darwaza
khol dia or larky ko bhi andr bula lia ham bethy bat kar rahy
thy
L.yar aik bat kahon
Main.han bol
L.yar larki to mast hy pata ly tery ko lift bhi dy rahi hy
Main us ki bat per gusa ho gaya
Main.dakh bhai har jaga kutta pan nhi krty wo bechari prashan
thi or ham sy help mang li to tu zara had mai reh
L.teri marzi agr mujhy moka milta to main to pata leta
Main.acha aik bat btaa
L.han poch
Main.teri kitni behn hain
L.3
Main.chal main un main sy kisi ko pata leta hon
L.tamez sy bat krtu meri behn ki bat kr raha hy
Main.Q kia hova teri ghar ki izat hy or tu jis ki bat kar raha
hy zara soch wo bhi kisi ki behn hy kisi ki beti hy kisi ki maa
kisi ki b.v hy khud per bat ai to izat yad aa gai
Main agy kuch bolta k andr sy us lady ki awaz ai chay deny ai
thi main darway k pass aya or chay us sy lay k aik cup khud lia
or aik usy dy dia ham abhi chay pi hi rahy thy k aik admi andr
aya
Aadmi.g kis sy milna hy
Mery kuch jawab deny sy phly hi andr sy awaz ai usi lady ki
Lady.farid ya mery sath ay hain
Wo bahir chla gaya Phr us lady ny usy sari bat btai us k bad ham
ny chay pi or ajazat lay k nikal gay usi rat shop per kam karny
waly aik larky ny mujhy prashan dakha
L.kia bhai prashan lag raha hy
Main.yar bas ghar ko lay k prashan hon
L.kia matlab
Main.yar rehny k lia koi ghar nhi mill raha
L.to rat ko kahan sota hy
Main.park mai
L.yar aik ghar hy to sahi per pata nhi wo rent per mily ga k nhi
Main.yar btaa pata karny mai kia jata hy ho sakta hy mill jay
Phr us ny mujhy aik addreas likhbk dia jo mainy apni jaib mai
rakh lia agly din subha main us address per gaya main us ghar ko
dakh k chonk gaya
#Post#: 13--------------------------------------------------
Re: Badshah (Ek Anokha Larka )
DIR By: Admin
Date: February 3, 2019, 11:47 pm
---------------------------------------------------------
Update 9
Ya wohi ghar tha jahan main kal us lady k sath aya tha aj bhi
tala laga hova tha mery pass intzar k elawa koi rasta na tha
wahin kareb k park mai jaa k beth gaya or intzar krny laga kal
waly time per main us ghar mai gaya tab tak drwaza khul chuka
tha mainy bell bjai to usi lady ny darwaza khola
main.baji kia ap sy 2 mint bat ho sakti hy
Lady.g ap kon
Shyad us ny pehchana nhi tha
Main.baji wo kal main ap k sath aya tha ap ki bachi ko lay k
Lady.acha ap aik mint main 2ra drwaza kholti hon ap andr aa jao
Phr us ny 2nd door open kia or main andar ja k beth gaya or
drwaza band kar dia
Lady.g kaho kia bat karni thi
Mery kuch bolny sy pehly hi bell baji or wo uth k bahir chali
gai jab wapis ai to us k sath kal wala aadmi bhi tha jis ka naam
farid tha
Farid.g hukam kia kaam tha
Main.g wo mujhy aik dost ny btaya tha k ap ka uper wala room
khali hy
Lady.g han khali hy
Main.g kia wo ap rent per dena caho gy
Farid.sorry beta per ham wo nhi dy sakty
Main mayosi sy.thek hy sir jaisy ap ki marzi
Lady.mill to sakta per tumra ghar
Farid.lekin arfa ham tu esy janty bhi nhi phr kesy
Us lady ka naam arfa hy
Main.koi bat nhi sir main kahin or talash kar leta hon
Farid.tum karty kia ho
Main.g main xyz pizza shop per job karta hon
Arfa.kia tum study nhi karty itny choty ho to kaam Q karty ho
Main.g baji study bhi kron ga per abhi to renhy ka koi bandobast
nhi hy jab koi arange ho jay ga to study bhi start kr don ga
Farid.kia tumhry ghar waly tum ko kaam karny sy mana nhi karty
Un k es swal sy main khamoah ho gaya kehta bhi to kia mujhy
khamosh dakh k
Farid.dakho agr tum sach btao to main sochon ga tum ko room dena
hy k nhi
Main.sir mera sach jan kr hi agr ap faisla lo gy to main yaken k
sath keh sakta hon k ap mujhy room nhi do gy
Arfa.tum itny yaken k sath kesy keh sakty ho
Main.Q k main 7 saal jail kat chuka hon khon k ilzam mai or koi
bhi shreef insan kisi khoni ko apny ghar mai nhi rakhta
Farid.kiaaaa
Main.g bilkul ya sach hy khair koi bat nhi main chalta hon
Arfa.kia main kuch poch sakti hon
Main.kia pochna hy ap ny
Arfa.tum ab kahan rehty ho
Main.g sham 4 sy rat 1 bajy tak to job per hota hon us k bad
kisi park mai so jata hon
Farid.tum kis city sy ho
Main.g main **** gaon sy hon
Farid.yahan kitny din sy ho
Main.kareb 10 din
Arfa.or 10 din sy tum park mai so rahy ho
Main.g han
Farid.kia tum btana caho gy k tum ny khon Q kia
Phr mainy bari mushkil sy un 2no ko apni life ka sach btaya jisy
sun k un ki bhi ankhon mai ansoo thy
Main.thek hy sir main chalta hon shukria ap ka
Main wahan sy nikal aya pichy un ki apas mai kia bat hovi pata
nhi usi sham ko farid or arfa apni bachi k sath shop per ay Q k
mainy un ko btaya tha k kahan kaam karta hon mainy un ka order
lia or un ko dy dia wo apas mai kuch bat karty rahy phr main un
ka bill ly k un k pass gaya itny mai manager wahan aa gaya
Manager.yahan kia kar rahy ho
Main.g sir wo bill deny aya tha
Manager.thek hy bill do or jao or han abhi aik gust aany waly
hain wo khas hain un ka khas khyal rakhna
Main.g sir
Farid.kashif aj rat ko free ho k ghar aa jana or apna jo bhi
saman ho lety aana
Manager.sir kia ap esy janty hain
Faird.g han
Manager.or kis saman ki bat kar rahy hain
Farid.wo ham apna room esy rent per dy rahy hain to esi lia
Manager.sir meri mano to rehny do main janta hon en jaisy larkon
ko pehly ghar sy bhag k aa jaty hain phr logon ko looty hain un
k ghron mai ja k
Afra.mind ur language mr ya hmara zati mamla hy ap ko koi haq
nhi banta mery bhai k bary mai esa kehny ka
Manager.sorry mam
#Post#: 14--------------------------------------------------
Re: Badshah (Ek Anokha Larka )
DIR By: Admin
Date: February 3, 2019, 11:48 pm
---------------------------------------------------------
Update 10
Us k bad main apny kaam mai busy ho gaya rat ko free ho k main
sir farid k ghar jany ki jaga park mai ja k soo gaya mujhy
manager ki bat boht buri lagi per kuch kar bhi nhi sakta tha
khair so gaya kisi trhan subha uth k nashta kia or wahin batha
raha sochta raha k kia kron kuch smjh nhi aa raha tha khair sara
din wahin betha raha time per shop ja poncha mery wahan jany k 1
ghanty bad farid or arfa wahan aa gay
Arfa.kal ay Q nhi jab kaha tha k aa jana
Main.baji bas dil nhi kia main ap ko prashan nhi karna chta
Arfa.kis ny kaha k tum ham ko prashan kro gy or tumhry na aany
sy prashani zror hovi hy
Farid.ya sahi keh rahi hy sari rat ham tumhra intzar krty rahy
hain or aj rat lazmi aa jana
Majn.g acha
Wo chlay gay main apny kaam mai busy ho gaya per mainy un ko
tang na karny ka socha or yahi socha k aj bhi nhi jaon ga per
meri kismat jab main kaam sy free ho k nikla to farid or arfa
bahir hi khray thy majboran mujhy un k sath jana para un k ghar
ja k baji arfa ny mujhy khana dia sir farid or baji arfa wahin
mery pass bethy thy
Main.akhir ap Q esa kar rahy hain jab k ap ko pata hy k main aik
khoni hon
Farid.tum jo bhi ho ham ko fark nhi parta ham bas itna janty
hain k tum aik achy insan ho
Main.phr bhi mery apnon ny mujhy shara nhi dia unhon ny mujhy
thukra dia hy phr ap mujh per itna yaken Q karty ho
Arfa.Q k ham janty hain k tum ghlat nhi ho jo insan khud begunah
ho k bhi apna sach btaa dy wo kabhi ghlat nhi ho sakta ab khana
khao thanda ho raha hy
Un ka itna pyar or mujh per yaken dakh k main rony laga phr
unhon ny mujhy chup krwaya or apny hathon sy khana khilaya khana
khaa k main soo gaya aj bari sakon ki nend ai or subha bhi dair
sy utha jab utha to table per aik letter para tha jo k baji arfa
ny likha tha
Arfa letter.main or faird school ja rahy hain tumhra nashta
mainy bana dia hy khaa lena or tum ko uthany ai thi tum soty
hovy boht cute lag rahy thy esi lia tum ko tang nhi kia khana
lazmi kha lena
Leter parh k mery honton per muskan aa gai phr main utha fresh
ho k nashta kia or nichy aa gaya nichy kuch books pari thin un
ko utha k parhny laga time kab nikal gaya pata hi nhi chla jab
baji arfa ny mujhy hilaya tab mujhy hosh aya
Main.g baji ap kab ai
Arfa.main to kafi dair sy aa gai thi tum kahan gum ho
Main.g wo main books parh raha tha pata nhi chla sorry
Arfa.sorry ki kia bat hy tum study krna chaty ho
Main.g han mujhy study ka boht shuk hy
Arfa.ok tum ko maun study krwaon gi
Main.g theek hy baji
Phr main un k pass study bhi krny laga esi trhan mujhy 1 saal
guzr gay main job per bhi jata or sir farid or baji arfa sy
study bhi krta aik saal bad mainy 10th k paper dia jin mai main
achy nmbrs sy pass hova us k bad mainy fahad ko yad kia mery yad
krty hi wo foran mery pass aa gaya (itny arsy main fahad sy bhi
bat hoti rehti thi wo gum hi rehta tha per us ny kaha tha jab
bhi main usy yad kron ga wo foran mery pass aa jay ga)
Fahad.aa gai meri yad
Main.han aa gai acha ab btaa k tery ghar kis din jayn
Fahad kush ho k.jab tera dil kary
Main.chal phr kal chlty hain
Fahad.ok
Wo din sir farid baji arfa or un ki beti k sath masti krty hovy
guzar gaya agly din mainy baji arfa sy kaha
Main.baji mujhy zara kaam jana hy
(Ab sy arfa ko baji likhon ga)
Baji.khan jana hy
Baji wo ****area mai jana hy
Baji.Q wahan kon hy
Main.baji wo aik dost sy milny jana hy ap bhi chalo sath
Baji.nhi main ja k kia kron gi tum jao mill ao
Main pls baji ap sath chalo
Baji.Q kia bat hy tum kuch prashan lag rahy ho
Main.g baji wo dost mujhy jail mai mila tha to thora dar lag
raha hy ap sath ho gi to thori himat mily gi
Baji.main wahan kisi ko janti bhi nhi
Farid.chali jao sath jab wo keh raha hy to
Baji.farid main wahan kisi ko janti nhi kia kron gi wahan ja k
Farid.yar simple bat hy wo btaa chuka hy k wo dost jail mai mila
tha
Baji.han to
Farid.han to jab un ko pata chlay ga k ya bhi jail mai tha to wo
kia sochyn gay tum sayh ho gi to koi fikr ki bat nhi ho gi
Baji.acha thek hy main chali jaon gi ;D
*****************************************************
Page 1 of 1